Mohabbat ki Inteha (Love Story)


Aik Aadmi nay aik KhoobSurat Ladki say Shadi kar li. Apni Biwi say Bohot Mohabbat karta tha. Magar aik din us Ladki ki jild(Skin) ko koi bemarri lag gai.

Jis say uski Khoobsurti din-ba-din Kam hoti chali ja rahi thi. Aik din uska Hisband kisi safar py nikla. Wapis aatay huay usay aik Haadsa paish aaya. Jis mn uski dono aankhaien jati rahien. Khair unki Married life wesi hi chalti rahi aur uski Biwi ki khoobsurti mazeed kam hoti chali gai.

Magar Andhay aadmi ko is baat ka ilm nai tha. Is waja say unki zindagi pr iska koi asar nai para. Dono aik doosray ka phelay ki tarah Chahtay aur aik doosray ka Phelay ki tarah khayal rakhtay thay. Khuda ka karna aisa hua, Aik din us ladki ka Intiqal(Death) ho gya, uska Shohar bohot zayada Gamzada tha.

Wo apna sab kuch baech(Sell) kar is Shehr(City) ko chor kar kisi aur Shehr(City) ja raha tha. Jatay huay raastay mn aik Aadmi nay pechay say Awaaz di. Aur Kehnay laga, Akelay kaisay jao gay? Ab tak to apki Biwi apki madad karti rahi aur Apki aankhaien bani rahi. Andhay aadmi nay jawab mn kaha: Mn aandha nai tha, magar usay aisa dikha raha tha k mn aandha hn.

Kiyun k agar usay pata hota k mn uski badsoorti dekh sakta hn, to is baat ka ehsaas usay iski bemari say zayada Takleef deti. isliay mn nay andhay honay ka Drama kia. Wo bohot achi biwi thi. Mn bas usay Khush rakhna chah raha tha.

0 Comments

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post